Paytm UPI Lite Setup Kaise Kare Aur Cashback Kamaye

Paytm UPI Lite Setup Kaise Kare Aur Cashback Kamaye Hii guys aaj iss article mei hum aapko batayenge paytm lite upi ke baare mei, how to use paytm upi lite and how to get paytm cashback by upi lite. So agar aap bhi paytm upi lite use karna chahte hain to then must read this article.

By the way paytm kaafi purana online payment app hai jisse aap bahut logo ko online paiss send kar sakte hain wo bhi ghar baithe, chahe wo recharge ho, bill, broadband, mobile recharge, ticket etc. Wo sab kuchh aap ghar baithe Paytm se kar sakte hain.

Paytm mei kaafi cashback bhi milte hain but waqt ke sath sath ye saare offers bahut hi low ho gaye hain. Ab aapko rarely paytm cashback milta hai. But filhaal paytm par ek new offer aaya hai paytm upi lite chaliye sab kuchh jaante hain.

Paytm UPI Lite Setup Kaise Kare Aur Cashback Kamaye

Paytm UPI Lite Kya Hai?

Basically paytm upi lite ke tarah ka online digital account hai isko isliye designed kiya gaya hai low payment send karne ke liye small ticket transaction and yah kaafi quick and faster payment hai.

And quickly kaam kaise kar raha hai chaliye jaante hain. Jab aap paytm upi lite se payment karenge to aapko koi bhi upi pin enter nahi karna padega ye directly payment ho jayega isliye isme limit bhi diya gaya hai.

Paytm UPI Lite Limit?

So guys paytm upi lite iske naam se hi pata chal raha hai ki aap isme high amount payment transfer nahi kar sakte hain. But isme mei bhi ek limitations hai aap paytm upi lite se ₹200 tak kisi ko bhi send kar sakte hain quickly.

Paytm UPI Lite Use Kaise Kare?

Agar aap paytm upi lite se payment karna chahte hain to iske liye aapko Paytm App open karna hoga uske baad aapko scan and qr code pe click karna hoga and scan karna hoga, then aapka jo bhi amount hai wo enter karenge, uske baad payment kar denge without upi pin.

Step 1: Paytm App Open Karen.

Step 2: Scan and QR code par click karen.

Step 3: Then apna amount enter karen.

Step 4: And aapka payment ho jayega bina upi pin.

Paytm UPI Lite Cashback

Ab jaante hain paytm upi lite cashback ke baare mei aap isse paytm cashback kaise le sakte hain bahut hi simple hai. Agar aapko paytm cashback lena hai to iske liye aapko paytm upi lite se payment karna hoga.

Aapko ₹100 tak Paytm cashback mil sakta hai maine aaj hi payment kiya to mujhe ₹5 ka paytm cashback mila jo ki kaafi maza aaya to aap bhi payment kare Paytm upi lite se and cashback kamaye.

Paytm UPI Lite safe hai ya nahi?

Dekho guys yah new payment method aaya hai Paytm mei to aksar har baar ki tarah log safe rahna hi pasand karenge. Because sabhi ka paisa pyara hai to isliye aapko ye jarur jaanna chahiye. Paytm UPI Lite safe hai ya nahi?

Dekho guys yah ke tarah ka wallet hai jo ki puri tarah safe hai yah aapke bank account se linked rahta hai and faster payment ke liye use kiya jata hai isse aap ₹200 tak payment kar sakte hain bina upi pin ke but ye fir bhi puri tarah safe hai.

Paytm UPI Lite Activate Kaise Kare?

Agar aap paytm upi lite activate karna chahte hain to iske liye aap paytm app open karenge and paytm upi lite pe click karenge and then aapko paytm upi lite show karega uspe click karenge and haa paytm upi lite bank par depend karta hai.

Bahut se bank aise bhi hain jo paytm upi lite support nahi karte isliye ho sakta hai ki aapka bank iske liye eligible na ho. Mere cases mei to paytm upi lite kaafi better work kiya aur maine ₹5 paytm cashback bhi earn kar liya.

Jab aap paytm upi lite activate kar dete hain tab yah ek wallet create ho jata hai and isme aap paisa rakh sakte hain. Jaise aapko Paytm wallet mila tha same aapko paytm upi lite wallet mila hai work dono same hai.

Paytm UPI Lite nahi mile to kya karen?

Ab bahut se Paytm users soch rahe honge ki paytm upi lite nahi mile to kaise payenge ye bhi kaafi simple hai. Iske liye aapko simply paytm customer care se baat karna hoga ya fir paytm ko mail karna hoga.

Uske baad aapko paytm upi lite payment aa jayega and aap bhi easily paytm upi lite wallet use kar sakenge. Sath mei aap paytm more cashback earn kar sakenge.

I hope ki iss post mei Paytm upi lite ke baare mei bataye gaye sabhi baat samajh paye honge. So agar aapko ye article pasand aaya ho to apne Paytm users ke sath share jarur karna taaki wo bhi Paytm upi lite activate kar saken and cashback earn kar saken.

hii main hoo perwez and aapka welcome hai itperwez.com website pe main yaha par aapko kuchh latest update, tech, review deta rahta hun, follow for more new updates.

Leave a Comment