2023 Mei Top 5 Android Apps Sabhi Youtubers Ke Pass Hona Chahiye, jaisa ki aapne tittle read kar hi liya hoga, haa guys aaj main aapko top 5 android apps ke baare mei batane waale hain jo ki aapke pass hona hi chahiye aur isse aap thumbnail banana ho, video edit karna ho, video ko shoot karne ke liye app aur bhi aise aap jo kaafi useful hai.
So aaiye jaante hain ek-ek karke sabhi top 5 android apps for youtubers, aur jitne bhi top 6 apps ke baare batane waale hain wo sabhi android mobiles based hain, jise asaani se install bhi kar sakte hain, aur humne yaha par aapko link bhi de rakha hai to sabhi ko ache se read karen chaliye start karte hain.
Top 5 Android Apps For Youtubers
1.Background Eraser App
Basically yah app png create karne ke liye best hai kyunki jaisa ki aapko pata hoga ki jis app mei aap thumbnail create karte hain usme aapko png maker features nahi milta hai, aur yah app isliye best hai because yah bahut hi low mb mei aata hai. Background eraser app aap play store se asaani se install kar sakte hain aur instant background remove kar sakte hain.
PNG Kaise Banaye?
Step 1: Background eraser app ko open karen.
Step 2: Load a photo par click karen.
Step 3: Then apna image choose karen jiska background remove karna chahte hain.
Step 4: Uske baad aap Auto-Colour, magic tool aur manual se background remove kar sakte hain.
Ab aapka png create ho chuka hai aur background remove ho chuka hai ab aap iss png ka use apne thumbnail par kar sakte hain, aapne bahut se famous youtubers ko dekha hoga ki wo apne thumbnail par bade youtubers ka image laga kar views increase kar lete hain. So guys aap bhi aisa kaam kar sakte hain.
Background Eraser App Ko Install Yaha Se Kare
2.Inshot Video Editor YT
Inshot yah ek video editor app hai, ye inshot app VN video editor ka alternative hai, lekin inshot app mei video editing features bahut hi jyada milta hai, jaise ki Animation (in, out, loop) background effect, voice effects, transition effect, filter, aur sabse jyada jaruri wala effect sabhi youtubers ke liye Chroma Key, freeze matlab editing ke liye sabhi effects bahut hi mast hai.
Inshot app se video editing ke liye aap article se sahi se samajh nahi payenge to kuchh hi dino mei ek inshot ke upar video aane wala hai jiska link main aapko yah de dunga, agar aap inshot app ko install karna chahte hain to simply diye gaye link se install kar sakte hain.
Read: Best 4 Apps For Privacy Lock
3.Open Camera YT
Guys agar aap youtube video shoot karne ke liye professional app find kar rahe hain, Open Camera youtube video shoot karne ke liye bahut hi best hai because yah kaafi cheap and best hai. Means chhota packet bada dhamaka hai yah sirf 2.0MB ka hi hai lekin features bahut hi mast hai youtube video shoot karne ke liye.
Open Camera Features For Youtube
Open camera mei aap filter use kar sakte hain, sabse bada problem hota hai sabhi youtubers ko microphone ka jo ki isse aap external microphone use kar sakte hain. Open camera app mei continue focused video shoot kar sakte hain, yaa fir focus locked kar sakte hain, exposure locked kar sakte hain, live audio level meter dekh sakte hain, microphone work kar raha hai ya nahi.
Aise Support Mei Laaye Microphone
Agar aapka microphone work nahi kar raha hai while video recording youtube video ke liye to aapko main settings bata raha hun ise follow kare aapka mic kaam karne lagega aaiye chaliye jaante hain.
Open (Open Camera App) > Settings > Video Settings > Scroll Down > Audio Source > Select External Mic.
4.Pixellab Thumbnail Maker YT
Agar aapko full HD Thumbnail create karne wala app chahiye to guys pixellab app thumbnail create karne ke liye master app hai. Pixellab app se eye catchie thumbnail create kar sakte hain that means fully attractive aur isse thumbnail bana kar aap apne youtube video mei laga sakte hain aur views increase kar sakte hain aur CTR bhi increase kar sakte hain.
Aur jitne bhi popular youtubers hain wo sabhi pixellab app se apne thumbnail ko create karte hain yaha tak ki famous youtuber manoj dey bhi apni youtube video ke liye pixellab app se hi thumbnail create karte hain aur aaj unke youtube channel par 4Million se bhi jyada subscribers hain.
Pixellab Installation Link
100 Million se bhi jyada users ne pixellab ko install kar rakha hai sirf youtube video thumbnail create karne ke liye to aap soch sakte hain ki yah app thumbnail banane ke liye kitna powerful app hai. Agar aap thumbnail create karna chahte hain to maine yaha par youtube video link de rakha hai follow karen.
5.Tubebuddy
Sabse end mei jo app hai wo sabse alag and sabse usefull app hai Tubebuddy app, yah ek basically youtube analytics app hai, jisse aap apne youtube video mei asaani se tag laga sakte hain, tag position dekh sakte hain, apni youtube video ke baare mei jaan sakte hain ki aapki video ke description mei kon se tag hone chahiye.
Tubebuddy app se youtube video ke liye keyword research kar sakte hain, keyword position dekh sakte hain, volume dekh sakte hain aur research karne ke baad apne youtube video ke tittle, description, tag mei use kar sakte hain aur apne channel ka growth increase kar sakte hain.
So guys jaisa ki maine aaj aapko top 5 android apps bataya youtube video ke liye aur aapko sabhi top 5 apps pasand aaya hoga, agar ye post pasand aya ho to apne naye youtubers ke sath send jarur kar dena chaliye ab milte hain aisi hi kisi next post mei jab tak ke liye stay tuned guys.